dekh kar pure tamashe ko hi ghar jaenge
dekh kar puure tamāshe ko hī ghar jā.eñge
tirī duniyā meñ chañd ik roz Thahar jā.eñge
saare raste tirī jānib hī liye jaate haiñ
ye na sochā ki mire paañv kidhar jā.eñge
zindagī ham tire kāñdhoñ pe koī bojh nahīñ
ham bas ik mauj-e-havā ban ke guzar jā.eñge
kab talak qaid meñ rahtī mire andar kī tapish
ye sharar aaj havāoñ meñ bikhar jā.eñge
koī zindān hameñ rok nahīñ pā.egā
ham machā kar tire ḳheme meñ ġhadar jā.eñge
dekh kar pure tamashe ko hi ghar jaenge
teri duniya mein chand ek roz Thahar jaenge
sare raste teri jaanib hi liye jate hain
ye na socha ki mere panw kidhar jaenge
zindagi hum tere kandhon pe koi bojh nahin
hum bas ek mauj-e-hawa ban ke guzar jaenge
kab talak qaid mein rahti mere andar ki tapish
ye sharar aaj hawaon mein bikhar jaenge
koi zindan hamein rok nahin paega
hum macha kar tere KHeme mein ghadar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.