dekh kar rang-e-hina jaan fana hoti hai
dekh kar rang-e-hinā jaan fanā hotī hai
kyā hasīnoñ kī hī muTThī meñ qazā hotī hai
apne bismil kī taḌap dekh tū us dam qātil
jab tirī teġh gale mil ke judā hotī hai
tire qurbān na jā baaġh meñ juuḌā khole
paanī paanī tire bāloñ se ghaTā hotī hai
ġhair to ġhair haiñ ahbāb badal jaate haiñ
haa.e bigḌī huī taqdīr bhī kyā hotī hai
is rah-e-saḳht meñ paañv kā hai rakhnā mushkil
kis se tai manzil-e-taslīm-o-razā hotī hai
duur se bhī use sunñā na kabhī o shah-e-husn
ki asar-ḳhez faqīroñ kī sadā hotī hai
aur taḌpāte ho dil de ke tasallī dil ko
ḳhuub bīmār-e-mohabbat kī davā hotī hai
daaġh bhī dil ke miTe dil kī umīdeñ bhī miTīñ
tirī hasrat bhī gale mil ke judā hotī hai
mil hī jaate haiñ nasīboñ se na milne vaale
ye bhī hotā hai jo taqdīr-e-rasā hotī hai
ye to kyūñkar kahūñ armān nikal jaate haiñ
aap milte haiñ to taskīn zarā hotī hai
fasl-e-gul se bhī hai dilchasp javānī kī bahār
gul na.e khilte haiñ jab tez havā hotī hai
haath zālim ne sū-e-charḳh uThā.e 'safdar'
le mubārak tire marne kī duā hotī hai
dekh kar rang-e-hina jaan fana hoti hai
kya hasinon ki hi muTThi mein qaza hoti hai
apne bismil ki taDap dekh tu us dam qatil
jab teri tegh gale mil ke juda hoti hai
tere qurban na ja bagh mein juDa khole
pani pani tere baalon se ghaTa hoti hai
ghair to ghair hain ahbab badal jate hain
hae bigDi hui taqdir bhi kya hoti hai
is rah-e-saKHt mein panw ka hai rakhna mushkil
kis se tai manzil-e-taslim-o-raza hoti hai
dur se bhi use sunna na kabhi o shah-e-husn
ki asar-KHez faqiron ki sada hoti hai
aur taDpate ho dil de ke tasalli dil ko
KHub bimar-e-mohabbat ki dawa hoti hai
dagh bhi dil ke miTe dil ki umiden bhi miTin
teri hasrat bhi gale mil ke juda hoti hai
mil hi jate hain nasibon se na milne wale
ye bhi hota hai jo taqdir-e-rasa hoti hai
ye to kyunkar kahun arman nikal jate hain
aap milte hain to taskin zara hoti hai
fasl-e-gul se bhi hai dilchasp jawani ki bahaar
gul nae khilte hain jab tez hawa hoti hai
hath zalim ne su-e-charKH uThae 'safdar'
le mubarak tere marne ki dua hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.