dekh kar tujhko baj uThe kangan
dekh kar tujh ko baj uThe kangan
dekh kitne haiñ bāvle kangan
shaam tujh ko bhī yaad vo hogī
jab dilā.e the mujh ko ye kangan
mere hāthoñ ko thaam kar baiThe
baad tere tire diye kangan
hijr ke pal jo kaT ga.e yūñhī
rāt-bhar saath meñ jale kangan
baat terī chhiḌī yahāñ jab jab
sun ke haule se hañs paḌe kangan
dekh kar tujh ko baj uThe kangan
dekh kitne hain bawle kangan
sham tujh ko bhi yaad wo hogi
jab dilae the mujh ko ye kangan
mere hathon ko tham kar baiThe
baad tere tere diye kangan
hijr ke pal jo kaT gae yunhi
raat-bhar sath mein jale kangan
baat teri chhiDi yahan jab jab
sun ke haule se hans paDe kangan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.