dekh kar usko nahin hosh mein aaya jata
dekh kar us ko nahīñ hosh meñ aayā jaatā
ḳhud-baḳhud dil meñ hai ik shaḳhs samāyā jaatā
us ke dīdār kī pyāsī thiiñ nigāheñ us kī
kaash bīmār-e-mohabbat na satāyā jaatā
ham to har haal meñ rāzī-ba-razā the lekin
maan jaatā ba-ḳhushī vo to manāyā jaatā
jis ne nā-vaqt bujhā dī mirī sham-e-ummīd
mujh se vo va.ada-shikan kaise bhulāyā jaatā
pher letā na agar dekh ke āñkheñ mujh se
dil se dil haath se phir haath milāyā jaatā
us kī mahfil meñ kamī kā thā sabhī ko ehsās
hotā aane ko vo raazī to bulāyā jaatā
jaane kyoñ pyaar ke dushman haiñ zamāne vaale
āsmāñ sar pe nahīñ aise uThāyā jaatā
hai ye kirdār-kushī is ko sahāfat na kaheñ
kar ke badnām nahīñ naam kamāyā jaatā
mahfil-e-aish-o-tarab meñ nahīñ ab jī lagtā
hote gar saath jo tum jashn manāyā jaatā
kho diyā tū ne vaqār apnā mirī nazroñ meñ
kar ke ehsān nahīñ aise jatāyā jaatā
be-gunāhī kī sazā denī na hotī jo mujhe
taḳhta-e-mashq-e-sitam kaise banāyā jaatā
shukriya aa ga.e tum vaqt pe milne varna
bār-e-ġham kaise akele ye uThāyā jaatā
mere vālid kā tasarruf hai mirā arz-e-hunar
varna maiñ bazm-e-adab meñ nahīñ paayā jaatā
misra-e-tarah se haalī ke qalam thā mar.ūb
varna kuchh zor-e-qalam apnā dikhāyā jaatā
bad-gumānī kā guzar hotā na dil meñ 'barqī'
rasm-e-ulfat ko hamesha jo nibhāyā jaatā
dekh kar us ko nahin hosh mein aaya jata
KHud-baKHud dil mein hai ek shaKHs samaya jata
us ke didar ki pyasi thin nigahen us ki
kash bimar-e-mohabbat na sataya jata
hum to har haal mein raazi-ba-raza the lekin
man jata ba-KHushi wo to manaya jata
jis ne na-waqt bujha di meri sham-e-ummid
mujh se wo wada-shikan kaise bhulaya jata
pher leta na agar dekh ke aankhen mujh se
dil se dil hath se phir hath milaya jata
us ki mahfil mein kami ka tha sabhi ko ehsas
hota aane ko wo raazi to bulaya jata
jaane kyon pyar ke dushman hain zamane wale
aasman sar pe nahin aise uThaya jata
hai ye kirdar-kushi is ko sahafat na kahen
kar ke badnam nahin nam kamaya jata
mahfil-e-aish-o-tarab mein nahin ab ji lagta
hote gar sath jo tum jashn manaya jata
kho diya tu ne waqar apna meri nazron mein
kar ke ehsan nahin aise jataya jata
be-gunahi ki saza deni na hoti jo mujhe
taKHta-e-mashq-e-sitam kaise banaya jata
shukriya aa gae tum waqt pe milne warna
bar-e-gham kaise akele ye uThaya jata
mere walid ka tasarruf hai mera arz-e-hunar
warna main bazm-e-adab mein nahin paya jata
misra-e-tarah se haali ke qalam tha marub
warna kuchh zor-e-qalam apna dikhaya jata
bad-gumani ka guzar hota na dil mein 'barqi'
rasm-e-ulfat ko hamesha jo nibhaya jata
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.