dekh kar ye pur-shikan zulfen teri
dekh kar ye pur-shikan zulfeñ tirī
mārtā hai maar sar dīvār se
vo nikāleñge mire armān kyā
un ko fursat hī nahīñ aġhyār se
yuuñ na chhūTogī qafas se bulbulo
tīliyoñ ko kaaT do minqār se
koī miltā hī nahīñ is daur meñ
jo ki mahram ho tire asrār se
intihā ye hai butoñ ke shauq meñ
kam nahīñ rag rag mirī zunnār se
jam.a ho jaatī hai dīvānoñ kī bhiiḌ
vo guzarte haiñ agar bāzār se
farq ye 'jauhar' miTānā hai hameñ
phuul se khele hai koī ḳhaar se
dekh kar ye pur-shikan zulfen teri
marta hai mar sar diwar se
wo nikalenge mere arman kya
un ko fursat hi nahin aghyar se
yun na chhuTogi qafas se bulbulo
tiliyon ko kaT do minqar se
koi milta hi nahin is daur mein
jo ki mahram ho tere asrar se
intiha ye hai buton ke shauq mein
kam nahin rag rag meri zunnar se
jama ho jati hai diwanon ki bhiD
wo guzarte hain agar bazar se
farq ye 'jauhar' miTana hai hamein
phul se khele hai koi KHar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.