dekh ke mujhko hans deta hai
dekh ke mujh ko hañs detā hai
dushman bhī kyā ḳhuub milā hai
shāyad us ko ġham kā Dar hai
jab dekho hañstā rahtā hai
ham ne to Dhālī hai jannat
tum ne bas sapnā dekhā hai
us kā naam kisī se sun kar
kitne zor se dil dhaḌkā hai
aane vaalā har pal ham ko
parbat sā ūñchā lagtā hai
sab ke chehre zard se kyuuñ haiñ
phūloñ kā mausam aayā hai
dekh ke mujh ko hans deta hai
dushman bhi kya KHub mila hai
shayad us ko gham ka Dar hai
jab dekho hansta rahta hai
hum ne to Dhaali hai jannat
tum ne bas sapna dekha hai
us ka nam kisi se sun kar
kitne zor se dil dhaDka hai
aane wala har pal hum ko
parbat sa uncha lagta hai
sab ke chehre zard se kyun hain
phulon ka mausam aaya hai
- Book : Hukm Nama
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.