dekh ke tujhko main dekhta rah gaya
dekh ke tujh ko maiñ dekhtā rah gayā
ishq karne ko ab kyā bachā rah gayā
chāñd kyā hai sanam aap ke sāmne
husn ye dekh kar sochtā rah gayā
ḳhvāb āñkhoñ se mere guzarte ga.e
niiñd meñ bhī tujhe sochtā rah gayā
mujh ko tere sivā kuchh nahīñ chāhiye
so maiñ rab se tujhe māñgtā rah gayā
ruuTh jaatī ho par lauT aatī ho tum
is liye maiñ tumheñ chāhtā rah gayā
terī āġhosh jannat se kam bhī nahīñ
is liye maiñ ḳhudā se judā rah gayā
husn par miTne vaalā maiñ āshiq nahīñ
umr bhar maiñ jabīñ chūmtā rah gayā
vasl kī yaad marham banī is liye
hijr ke ba.ad bhī hausla rah gayā
dekh ke tujh ko main dekhta rah gaya
ishq karne ko ab kya bacha rah gaya
chand kya hai sanam aap ke samne
husn ye dekh kar sochta rah gaya
KHwab aankhon se mere guzarte gae
nind mein bhi tujhe sochta rah gaya
mujh ko tere siwa kuchh nahin chahiye
so main rab se tujhe mangta rah gaya
ruTh jati ho par lauT aati ho tum
is liye main tumhein chahta rah gaya
teri aaghosh jannat se kam bhi nahin
is liye main KHuda se juda rah gaya
husn par miTne wala main aashiq nahin
umr bhar main jabin chumta rah gaya
wasl ki yaad marham bani is liye
hijr ke baad bhi hausla rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.