dekh lail-o-nahaar se bahar
dekh lail-o-nahār se bāhar
zindagī hai qatār se bāhar
aise koī ḳhumār meñ bhī nahīñ
jaise ham haiñ ḳhumār se bāhar
kahf vāloñ se thak chukā thā maiñ
aan baiThā huuñ ġhaar se bāhar
ham guzishta zamānoñ ke āshiq
ho rahe haiñ shumār se bāhar
khul ke hañsiyo nashe kī hālat meñ
ġham hī ġham haiñ ḳhumār se bāhar
daad bantī hai phuul kī 'āsif'
jo khulā hai bahār se bāhar
dekh lail-o-nahaar se bahar
zindagi hai qatar se bahar
aise koi KHumar mein bhi nahin
jaise hum hain KHumar se bahar
kahf walon se thak chuka tha main
aan baiTha hun ghaar se bahar
hum guzishta zamanon ke aashiq
ho rahe hain shumar se bahar
khul ke hansiyo nashe ki haalat mein
gham hi gham hain KHumar se bahar
dad banti hai phul ki 'asif'
jo khula hai bahaar se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.