dekh le KHud hi koi lauT ke jate hue hath
dekh le ḳhud hī koī lauT ke jaate hue haath
sharm aatī hai zarā ham ko baḌhāte hue haath
kyā ḳhabar tum ko ki kyā dil pe guzartī hai mire
jin se dil miltā nahīñ un se milāte hue haath
tujh ko bāñhoñ meñ bharūñ chhoḌ ke jaane vaale
tujh ko ruḳhsat bhī karūñ haa.e hilāte hue haath
us ne barfāb se hāthoñ se jo thāmā mujh ko
mere gāloñ pe lagī aag lagāte hue haath
sab ne dekhā thā faqat ham ko bichhaḌte lamhe
rab ne dekhā thā hameñ saath uThāte hue haath
ham ne pakḌā nahīñ bohtān-zabānoñ ko kabhī
ham ne toḌe hī nahīñ uñglī uThāte hue haath
jab kiyā ġhaur kabhī ḳhud kī zabūñ-hālī par
jism kī samt baḌhe saa.e se aate hue haath
girte dushman ko bhī ham jhaT se uThā lete haiñ
ham se rukte hī nahīñ haath baḌhāte hue haath
us kā shīsha sā badan aur maiñ patthar 'ārif'
Dar to lagtā hai zarā us ko lagāte hue haath
dekh le KHud hi koi lauT ke jate hue hath
sharm aati hai zara hum ko baDhate hue hath
kya KHabar tum ko ki kya dil pe guzarti hai mere
jin se dil milta nahin un se milate hue hath
tujh ko banhon mein bharun chhoD ke jaane wale
tujh ko ruKHsat bhi karun hae hilate hue hath
us ne barfab se hathon se jo thama mujh ko
mere galon pe lagi aag lagate hue hath
sab ne dekha tha faqat hum ko bichhaDte lamhe
rab ne dekha tha hamein sath uThate hue hath
hum ne pakDa nahin bohtan-zabanon ko kabhi
hum ne toDe hi nahin ungli uThate hue hath
jab kiya ghaur kabhi KHud ki zabun-haali par
jism ki samt baDhe sae se aate hue hath
girte dushman ko bhi hum jhaT se uTha lete hain
hum se rukte hi nahin hath baDhate hue hath
us ka shisha sa badan aur main patthar 'arif'
Dar to lagta hai zara us ko lagate hue hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.