dekh le yar ho gae miTTi
dekh le yaar ho ga.e miTTī
tere bīmār ho ga.e miTTī
shaah hone pe tū ġhurūr na kar
lākhoñ darbār ho ga.e miTTī
us ne ḳhat bhī nahīñ paḌhā merā
ya.anī ash.ār ho ga.e miTTī
umr miTTī meñ kaaT dī ham ne
aur phir yaar ho ga.e miTTī
nafrateñ khā ga.iiñ shahar apnā
dekho ghar-bār ho ga.e miTTī
mere andar pata nahīñ 'monis'
kitne fankār ho ga.e miTTī
dekh le yar ho gae miTTi
tere bimar ho gae miTTi
shah hone pe tu ghurur na kar
lakhon darbar ho gae miTTi
us ne KHat bhi nahin paDha mera
yani ashaar ho gae miTTi
umr miTTi mein kaT di hum ne
aur phir yar ho gae miTTi
nafraten kha gain shahar apna
dekho ghar-bar ho gae miTTi
mere andar pata nahin 'monis'
kitne fankar ho gae miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.