dekh lena gardish-e-ayyam phir
dekh lenā gardish-e-ayyām phir
mere hāthoñ meñ na aa.e jaam phir
chaḌhte sūraj kī parastish kyā karūñ
Duub jā.egā to hogī shaam phir
pyaas ke māroñ kā hañgāma na pūchh
mai-kadā lauTeñ na tishna-kām phir
ehtimām-e-gardish-e-daurāñ na pūchh
sub.h hotī hai to hogī shaam phir
un key zulfoñ meñ ulajh kar rah gayā
aa gayā huuñ kyā maiñ zer-e-dām phir
lūTne vāloñ ne luuTā mai-kadā
mere hisse meñ hai ḳhālī jaam phir
jis ne kī barbād 'manzar' zindagī
aap ke hoñToñ pe us kā naam phir
dekh lena gardish-e-ayyam phir
mere hathon mein na aae jam phir
chaDhte suraj ki parastish kya karun
Dub jaega to hogi sham phir
pyas ke maron ka hangama na puchh
mai-kada lauTen na tishna-kaam phir
ehtimam-e-gardish-e-dauran na puchh
subh hoti hai to hogi sham phir
un key zulfon mein ulajh kar rah gaya
aa gaya hun kya main zer-e-dam phir
luTne walon ne luTa mai-kada
mere hisse mein hai KHali jam phir
jis ne ki barbaad 'manzar' zindagi
aap ke honTon pe us ka nam phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.