dekh leta hun to phir aankh chhalak jati hai
dekh letā huuñ to phir aañkh chhalak jaatī hai
terī bastī kī taraf jo bhī saḌak jaatī hai
rūThne lagtī hai jab mujh se mohabbat merī
mere baazū se ye tā'vīz khisak jaatī hai
tanz kyoñ kartī hai is TeḌhī kamar par duniyā
bojh bhārī ho to har shāḳh lachak jaatī hai
ret jaise hameñ lagne lage saare rishte
ret hāthoñ se uThāo to sarak jaatī hai
jab bhī suntī hai vo anjām-e-vafā ke qisse
ek laḌkī mirī godī meñ dubak jaatī hai
mo'jiza bhī tire bose kā 'ajab hai ai maañ
chuum letī hai to taqdīr chamak jaatī hai
'ishq meñ log bahak jaa.eñ to hairat kaisī
bin payambar ke to ummat bhī bahak jaatī hai
aise bhaTkā huuñ tirī yaad ke sahrāoñ meñ
jaise bachchī kisī mele meñ bhaTak jaatī hai
ḳharch itnā bhī na ashkoñ ko kiyā kar ai 'dil'
Dher ro dene se ye aañkh chipak jaatī hai
dekh leta hun to phir aankh chhalak jati hai
teri basti ki taraf jo bhi saDak jati hai
ruThne lagti hai jab mujh se mohabbat meri
mere bazu se ye ta'wiz khisak jati hai
tanz kyon karti hai is TeDhi kamar par duniya
bojh bhaari ho to har shaKH lachak jati hai
ret jaise hamein lagne lage sare rishte
ret hathon se uThao to sarak jati hai
jab bhi sunti hai wo anjam-e-wafa ke qisse
ek laDki meri godi mein dubak jati hai
mo'jiza bhi tere bose ka 'ajab hai ai man
chum leti hai to taqdir chamak jati hai
'ishq mein log bahak jaen to hairat kaisi
bin payambar ke to ummat bhi bahak jati hai
aise bhaTka hun teri yaad ke sahraon mein
jaise bachchi kisi mele mein bhaTak jati hai
KHarch itna bhi na ashkon ko kiya kar ai 'dil'
Dher ro dene se ye aankh chipak jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.