dekh lete ho mohabbat se yahi kafi hai
dekh lete ho mohabbat se yahī kaafī hai
dil dhaḌaktā hai suhūlat se yahī kaafī hai
muddatoñ se nahīñ dekhā tirā jalva lekin
yaad aa jaate ho shiddat se yahī kaafī hai
jo bhī raste meñ guzartā hai mire pahlū se
dekhtā hai tirī nisbat se yahī kaafī hai
mere āñgan meñ utartā nahīñ vo chāñd kabhī
dekh lete haiñ use chhat se yahī kaafī hai
saarī duniyā se ulajhte haiñ magar terā kahā
maan lete haiñ sharāfat se yahī kaafī hai
haal duniyā ke satā.e hue kuchh logoñ kā
pūchh lete ho sharārat se yahī kaafī hai
kyā huā ham ko mayassar jo zar-o-māl nahīñ
kaT rahī hai baḌī 'izzat se yahī kaafī hai
aaj ke ‘ahd-e-taġhāful meñ kisī dar pe 'munīr'
koī aa jaa.e zarūrat se yahī kaafī hai
dekh lete ho mohabbat se yahi kafi hai
dil dhaDakta hai suhulat se yahi kafi hai
muddaton se nahin dekha tera jalwa lekin
yaad aa jate ho shiddat se yahi kafi hai
jo bhi raste mein guzarta hai mere pahlu se
dekhta hai teri nisbat se yahi kafi hai
mere aangan mein utarta nahin wo chand kabhi
dekh lete hain use chhat se yahi kafi hai
sari duniya se ulajhte hain magar tera kaha
man lete hain sharafat se yahi kafi hai
haal duniya ke satae hue kuchh logon ka
puchh lete ho shararat se yahi kafi hai
kya hua hum ko mayassar jo zar-o-mal nahin
kaT rahi hai baDi 'izzat se yahi kafi hai
aaj ke ‘ahd-e-taghaful mein kisi dar pe 'munir'
koi aa jae zarurat se yahi kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.