dekh li teri KHudai bas mera dil bhar gaya
dekh lī terī ḳhudā.ī bas mirā dil bhar gayā
terī rahmat chup rahī maiñ rote rote mar gayā
mere mālik kyā kahūñ terī duāoñ kā fareb
mujh pe yuuñ chhāyā kī mujh ko ghar se be-ghar kar gayā
vo bahāreñ naach uThīñ thiiñ jhuum uThīñ thiiñ badliyāñ
apnī qismat yaad aate hī mirā jī Dar gayā
dekh li teri KHudai bas mera dil bhar gaya
teri rahmat chup rahi main rote rote mar gaya
mere malik kya kahun teri duaon ka fareb
mujh pe yun chhaya ki mujh ko ghar se be-ghar kar gaya
wo bahaaren nach uThin thin jhum uThin thin badliyan
apni qismat yaad aate hi mera ji Dar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.