dekh lo tum KHu-e-atish ai qamar shishe mein hai
dekh lo tum ḳhū-e-ātish ai qamar shīshe meñ hai
aks dāġh-e-mahr kā itnā asar shīshe meñ hai
log kahte haiñ tire ruḳhsār-e-tābāñ dekh kar
sham.a hai fānūs meñ yā āb-e-zar shīshe meñ hai
raat din rahtī hai niyyat bāda-e-gul-rañg meñ
ye parī vo hai ki jo āThoñ pahar shīshe meñ hai
sā.ad-e-sīmīñ se tere us ko kyā nisbat bhalā
tauba tauba kab latāfat is qadar shīshe meñ hai
hotī hai ġharq-e-araq kyuuñ tū sivā.e bū-e-gul
aur kyā ai bulbul-e-shorīda-sar shīshe meñ hai
mai-kada terā rahe ābād ḳhum kī ḳhair ho
haañ pilā de mujh ko saaqī jis qadar shīshe meñ hai
ḳhaak se merī bhalā kyā vaqt kā ho imtiyāz
har ghaḌī ban kar bagūlā muntashar shīshe meñ hai
ye gumāñ hotā hai aks-e-mahr-e-sahbā dekh kar
dāġh-e-ulfat ko liye ḳhūn-e-jigar shīshe meñ hai
hazrat-e-vā.iz na aisā vaqt haath aa.egā phir
sab haiñ be-ḳhud tum bhī pī lo kuchh agar shīshe meñ hai
khiñch sake hargiz musavvir se na timsāl-e-adam
dekh lo tasvīr-e-jānāñ tā-kamar shīshe meñ hai
thoḌī thoḌī raah meñ pī leñge gar kam hai to kyā
duur hai mai-ḳhāna ye zād-e-safar shīshe meñ hai
mai pilā kar mujh se kahte haiñ vo ho kar be-hijāb
chaḌh ga.ī ā.ankhoñ pe jab ainak nazar shīshe meñ hai
kyuuñ na zor-e-tab.a sab ahbāb dikhlā.eñ 'habīb'
imtihān-e-husn nazm-e-yak-digar shīshe meñ hai
dekh lo tum KHu-e-atish ai qamar shishe mein hai
aks dagh-e-mahr ka itna asar shishe mein hai
log kahte hain tere ruKHsar-e-taban dekh kar
shama hai fanus mein ya aab-e-zar shishe mein hai
raat din rahti hai niyyat baada-e-gul-rang mein
ye pari wo hai ki jo aaThon pahar shishe mein hai
saad-e-simin se tere us ko kya nisbat bhala
tauba tauba kab latafat is qadar shishe mein hai
hoti hai gharq-e-araq kyun tu siwae bu-e-gul
aur kya ai bulbul-e-shorida-sar shishe mein hai
mai-kada tera rahe aabaad KHum ki KHair ho
han pila de mujh ko saqi jis qadar shishe mein hai
KHak se meri bhala kya waqt ka ho imtiyaz
har ghaDi ban kar bagula muntashar shishe mein hai
ye guman hota hai aks-e-mahr-e-sahba dekh kar
dagh-e-ulfat ko liye KHun-e-jigar shishe mein hai
hazrat-e-waiz na aisa waqt hath aaega phir
sab hain be-KHud tum bhi pi lo kuchh agar shishe mein hai
khinch sake hargiz musawwir se na timsal-e-adam
dekh lo taswir-e-jaanan ta-kamar shishe mein hai
thoDi thoDi rah mein pi lenge gar kam hai to kya
dur hai mai-KHana ye zad-e-safar shishe mein hai
mai pila kar mujh se kahte hain wo ho kar be-hijab
chaDh gai aaankhon pe jab ainak nazar shishe mein hai
kyun na zor-e-taba sab ahbab dikhlaen 'habib'
imtihan-e-husn nazm-e-yak-digar shishe mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.