dekh mazi ke darichon ko kabhi khola na kar
dekh maazī ke darīchoñ ko kabhī kholā na kar
bhāgte lamhoñ ke pīchhe is tarah dauḌā na kar
ai mire sūraj mire saa.e ke derīna rafīq
rāste meñ raushnī ban kar bikhar jaayā na kar
ye bhī mumkin hai tire dīvār-o-dar tere na hoñ
ghar ke andar baiTh kar tū is tarah royā na kar
kah liyā kar gaahe gaahe tū koī achchhī ġhazal
mahfil-e-sher-o-suḳhan se ḳhud ko yuuñ tanhā na kar
kah rahī hai mujh se mere ghar kī tārīkī 'farāz'
raat ho jaa.e to ghar se tū kahīñ jaayā na kar
dekh mazi ke darichon ko kabhi khola na kar
bhagte lamhon ke pichhe is tarah dauDa na kar
ai mere suraj mere sae ke derina rafiq
raste mein raushni ban kar bikhar jaya na kar
ye bhi mumkin hai tere diwar-o-dar tere na hon
ghar ke andar baiTh kar tu is tarah roya na kar
kah liya kar gahe gahe tu koi achchhi ghazal
mahfil-e-sher-o-suKHan se KHud ko yun tanha na kar
kah rahi hai mujh se mere ghar ki tariki 'faraaz'
raat ho jae to ghar se tu kahin jaya na kar
- Book : siip (Magzin) (Pg. 247)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.