dekh mahrumi ki barakat zinda hun
dekh mahrūmī kī barakat zinda huuñ
maiñ tire ġham kī badaulat zinda huuñ
jannateñ haiñ murda jismoñ ke liye
ye sazā hai yā ināyat zinda huuñ
is ḳhizāñ meñ kāñTe tak bhī mar chuke
phir bhī kahtī hai vo nik.hat zinda huuñ
sach hai duniyā nafratoñ kī hai magar
maiñ yahāñ bhī bā-mohabbat zinda huuñ
likh rakhe haiñ maiñ ne bhī fazl-o-azāb
mālik-e-roz-e-qayāmat zinda huuñ
dekh mahrumi ki barakat zinda hun
main tere gham ki badaulat zinda hun
jannaten hain murda jismon ke liye
ye saza hai ya inayat zinda hun
is KHizan mein kanTe tak bhi mar chuke
phir bhi kahti hai wo nikhat zinda hun
sach hai duniya nafraton ki hai magar
main yahan bhi ba-mohabbat zinda hun
likh rakhe hain main ne bhi fazl-o-azab
malik-e-roz-e-qayamat zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.