dekh na paya jis paikar ko wadon ki angnai mein
dekh na paya jis paikar ko wadon ki angnai mein
Shariq Jamal Nagpuri
MORE BYShariq Jamal Nagpuri
dekh na paayā jis paikar ko vā'doñ kī añgnā.ī meñ
DhūñD rahā huuñ us kā chehra ḳhvāboñ meñ tanhā.ī meñ
kaise ho mā'lūm ye āḳhir purvā.ī ke jhoñkoñ ko
phūloñ par kyā biit chukī hai shāḳhoñ kī añgḌā.ī meñ
Dhalte sūraj kī āñkhoñ ne āḳhir mujh ko DhūñD liyā
chhup na sakā maiñ bhī pīpal ke saa.e kī lambā.ī meñ
pā kar terī saañs kī aahaT dil yuuñ machlā jaa.e hai
jaise shor machā.e gāgar panghaT kī gahrā.ī meñ
har ik shaḳhs ke aage karūñ kyuuñ shikve kī dīvār khaḌī
sirf ik terā haath hai mere lahje kī rusvā.ī meñ
'shāriq' Daal do āñkhoñ par tum apnī palkoñ kā ye ġhilāf
saarā shahr pahuñch gayā hai sannāTe kī khaa.ī meñ
dekh na paya jis paikar ko wa'don ki angnai mein
DhunD raha hun us ka chehra KHwabon mein tanhai mein
kaise ho ma'lum ye aaKHir purwai ke jhonkon ko
phulon par kya bit chuki hai shaKHon ki angDai mein
Dhalte suraj ki aankhon ne aaKHir mujh ko DhunD liya
chhup na saka main bhi pipal ke sae ki lambai mein
pa kar teri sans ki aahaT dil yun machla jae hai
jaise shor machae gagar panghaT ki gahrai mein
har ek shaKHs ke aage karun kyun shikwe ki diwar khaDi
sirf ek tera hath hai mere lahje ki ruswai mein
'shaariq' Dal do aankhon par tum apni palkon ka ye ghilaf
sara shahr pahunch gaya hai sannaTe ki khai mein
- Book : عکس بر عکس (Pg. 61)
- Author : شارق جمال
- Publication : شاہد پریس ناگپور (1986)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.