dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum
dekh o qātil basar karte haiñ kis mushkil se ham
chāragar se dard-e-nālāñ dard se dil dil se ham
haa.e kyā be-ḳhud kiyā hai ġhaflat-e-ummīd ne
hāl-e-dil kahte haiñ apnā phir usī qātil se ham
rashk aa'dā ne kiye raushan badan meñ ustuḳhvāñ
sham'-e-mahfil ho ke uTThe aap kī mahfil se ham
is ko kahte haiñ vafādārī ki ba.ad-az-qatl bhī
dāġh-e-ḳhūñ ho kar na chhūTe dāman-e-qātil se ham
tuul thī rāh-e-adam ghabrā ke so.e qabr meñ
paañv phailā.e thake jab dūrī-e-manzil se ham
jism-e-raushan se nazar aate haiñ jalve ruuh ke
husn-e-lailā dekhte haiñ parda-e-mahmil se ham
ḳhālī az ehsāñ nahīñ ye bhī ki vaqt-e-iztirāb
ḳhush to ho jaate haiñ tere vāda-e-bātil se ham
aao aapas meñ samajh leñ ġhair kaahe ko sune
tum kaho dil se hamāre kuchh tumhāre dil se ham
sun ke ro dete haiñ aksar sūrat-e-zaḳhm-e-jigar
aap sharmāte haiñ apne ḳhanda-e-bātil se ham
rashk hai hasrat pe us kī dil meñ aatā hai yahī
apne qālib ko badal leñ qālib-e-bismil se ham
sīna-e-dil meñ hujūm-e-dāġh-e-hasrat hai 'nasīm'
phuul chun lete haiñ apne gulshan-e-hāsil se ham
dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum
chaaragar se dard-e-nalan dard se dil dil se hum
hae kya be-KHud kiya hai ghaflat-e-ummid ne
haal-e-dil kahte hain apna phir usi qatil se hum
rashk aa'da ne kiye raushan badan mein ustuKHwan
sham'-e-mahfil ho ke uTThe aap ki mahfil se hum
is ko kahte hain wafadari ki baad-az-qatl bhi
dagh-e-KHun ho kar na chhuTe daman-e-qatil se hum
tul thi rah-e-adam ghabra ke soe qabr mein
panw phailae thake jab duri-e-manzil se hum
jism-e-raushan se nazar aate hain jalwe ruh ke
husn-e-laila dekhte hain parda-e-mahmil se hum
KHali az ehsan nahin ye bhi ki waqt-e-iztirab
KHush to ho jate hain tere wada-e-baatil se hum
aao aapas mein samajh len ghair kahe ko sune
tum kaho dil se hamare kuchh tumhaare dil se hum
sun ke ro dete hain aksar surat-e-zaKHm-e-jigar
aap sharmate hain apne KHanda-e-baatil se hum
rashk hai hasrat pe us ki dil mein aata hai yahi
apne qalib ko badal len qalib-e-bismil se hum
sina-e-dil mein hujum-e-dagh-e-hasrat hai 'nasim'
phul chun lete hain apne gulshan-e-hasil se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.