dekh pai na mere sae mein chalta saya
dekh paa.ī na mire saa.e meñ chaltā saaya
aa ga.ī raat uThāne mirā Dhaltā saaya
tum ne achchhā hī kiyā chhoḌ ga.e vaise bhī
ek saa.e se bhalā kaise sañbhaltā saaya
maiñ vahī huuñ mirā saaya bhī vahī hai ab tak
maiñ badaltā to koī rang badaltā saaya
maiñ ne is vāste muñh kar liyā sūraj kī taraf
mujh se dekhā na gayā aage nikaltā saaya
aaj bhī baiThā huuñ gum-sum pas-e-dīvār-e-anā
mujh se lipTā hai tirī yaad kā jaltā saaya
tujh pe guzrī hī nahīñ vahshat-e-shām-e-hijrāñ
tū ne dekhā hī nahīñ peḌ nigaltā saaya
dekh pai na mere sae mein chalta saya
aa gai raat uThane mera Dhalta saya
tum ne achchha hi kiya chhoD gae waise bhi
ek sae se bhala kaise sanbhalta saya
main wahi hun mera saya bhi wahi hai ab tak
main badalta to koi rang badalta saya
main ne is waste munh kar liya suraj ki taraf
mujh se dekha na gaya aage nikalta saya
aaj bhi baiTha hun gum-sum pas-e-diwar-e-ana
mujh se lipTa hai teri yaad ka jalta saya
tujh pe guzri hi nahin wahshat-e-sham-e-hijran
tu ne dekha hi nahin peD nigalta saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.