dekh pagli na dil laga mere sath
dekh paglī na dil lagā mire saath
itnī achchhī nahīñ vafā mire saath
yaar jo mujh pe jaan vārte the
kyā koī vāqa'ī marā mire saath
maiñ to kamzor thā maiñ kyā laḌtā
vo magar phir bhī laḌ paḌā mire saath
maiñ pareshān to nahīñ mire dost
itnī hamdardī mat jatā mire saath
ai ḳhudā tū to jāntā hai mujhe
tū ne achchhā nahīñ kiyā mire saath
ab mire paas phūTī kauḌī nahīñ
ab nahīñ koī boltā mire saath
dekh pagli na dil laga mere sath
itni achchhi nahin wafa mere sath
yar jo mujh pe jaan warte the
kya koi waqa'i mara mere sath
main to kamzor tha main kya laDta
wo magar phir bhi laD paDa mere sath
main pareshan to nahin mere dost
itni hamdardi mat jata mere sath
ai KHuda tu to jaanta hai mujhe
tu ne achchha nahin kiya mere sath
ab mere pas phuTi kauDi nahin
ab nahin koi bolta mere sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.