dekh raha hun main ye nazare
dekh rahā huuñ maiñ ye nazāre
Dhaltā sūraj hañste taare
aa pahuñchī hai baat yahāñ tak
āñkheñ merī ḳhvāb tumhāre
yādoñ kī purvā.ī chalī hai
risne lage phir zaḳhm hamāre
karte kaise un ko muqayyad
the jo parinde pankh pasāre
jis ko apnā darpan samjhā
us ne ham par patthar maare
vo jo liye kashkol phire hai
maañg rahā thā chāñd sitāre
aise 'amīr' ik tum hī nahīñ ho
sad.hā log haiñ ishq ke maare
dekh raha hun main ye nazare
Dhalta suraj hanste tare
aa pahunchi hai baat yahan tak
aankhen meri KHwab tumhaare
yaadon ki purwai chali hai
risne lage phir zaKHm hamare
karte kaise un ko muqayyad
the jo parinde pankh pasare
jis ko apna darpan samjha
us ne hum par patthar mare
wo jo liye kashkol phire hai
mang raha tha chand sitare
aise 'amir' ek tum hi nahin ho
sadha log hain ishq ke mare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.