dekh rahi meri aankhon ka dawa hai
dekh rahī merī āñkhoñ kā da.avā hai
har manzar meñ ik tasvīr alāva hai
umr gañvā kar manzil tak to aa pahuñche
phir ham samjhe manzil ek chhalāvā hai
ruuh kī sūrat dikhne meñ kuchh aur hai par
ham jo dikhte haiñ vo mahz dikhāvā hai
in zaḳhmoñ ko kaise bhar jaane duuñ maiñ
in ke dam se mere paas mudāvā hai
kahāñ huā ojhal vo merī āñkhoñ se
dhyān haTā lenā bas ek bhulāvā hai
dekh rahi meri aankhon ka dawa hai
har manzar mein ek taswir alawa hai
umr ganwa kar manzil tak to aa pahunche
phir hum samjhe manzil ek chhalawa hai
ruh ki surat dikhne mein kuchh aur hai par
hum jo dikhte hain wo mahz dikhawa hai
in zaKHmon ko kaise bhar jaane dun main
in ke dam se mere pas mudawa hai
kahan hua ojhal wo meri aankhon se
dhyan haTa lena bas ek bhulawa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.