dekh tera jamal kuchh ka kuchh
dekh tera jamal kuchh ka kuchh
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
dekh terā jamāl kuchh kā kuchh
dil meñ aayā ḳhayāl kuchh kā kuchh
aaj lagtā hai merī āñkhoñ meñ
vo mirā naunihāl kuchh kā kuchh
dekh us manharan kī āñkhoñ ko
ho gayā us kā haal kuchh kā kuchh
ḳhat pe us ke to thī kuchh aur hī bahār
hai farībinda ḳhaal kuchh kā kuchh
hai taraqqī meñ us ḳhush-abrū kā
husn misl-e-hilāl kuchh kā kuchh
haal dikhlāte haiñ zamāne kā
gardish-e-māh-o-sāl kuchh kā kuchh
ai 'jahāñdār' mashq-e-sher meñ ab
tū ne paayā kamāl kuchh kā kuchh
dekh tera jamal kuchh ka kuchh
dil mein aaya KHayal kuchh ka kuchh
aaj lagta hai meri aankhon mein
wo mera naunihaal kuchh ka kuchh
dekh us manharan ki aankhon ko
ho gaya us ka haal kuchh ka kuchh
KHat pe us ke to thi kuchh aur hi bahaar
hai faribinda KHal kuchh ka kuchh
hai taraqqi mein us KHush-abru ka
husn misl-e-hilal kuchh ka kuchh
haal dikhlate hain zamane ka
gardish-e-mah-o-sal kuchh ka kuchh
ai 'jahandar' mashq-e-sher mein ab
tu ne paya kamal kuchh ka kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.