dekh to furqat meñ kyā kyā hāl-e-dil par ġham huā
raat bhar siine meñ ai zālim baḌā mātam huā
dil ke marne se jahāñ kab darham-o-barham huā
sīna-kūbī maiñ ne kī itnā faqat mātam huā
tāqat-e-faryād aa.ī kuchh ajab aalam huā
lo qayāmat aa ga.ī dard-e-jigar phir kam huā
Tāñke TuuTe zaḳhm-e-dil ke baḌh gayā josh-e-junūñ
khul ga.iiñ kaliyāñ bahār aa.ī nayā aalam huā
sach to hai ham-sāye kī aafat se hotī hai gazand
tiir siine par lagā dil kā ajab aalam huā
saḳht-jānī se mirī tū bhī ḳhajil hogā zarūr
dekh ai qātil tirī talvār kā sar ḳham huā
baal kyoñ khole hasīnoñ ne baḌhīñ rusvā.iyāñ
mujh ko to ronā hai is kā kyoñ mirā mātam huā
dekh to furqat mein kya kya haal-e-dil par gham hua
raat bhar sine mein ai zalim baDa matam hua
dil ke marne se jahan kab darham-o-barham hua
sina-kubi main ne ki itna faqat matam hua
taqat-e-faryaad aai kuchh ajab aalam hua
lo qayamat aa gai dard-e-jigar phir kam hua
Tanke TuTe zaKHm-e-dil ke baDh gaya josh-e-junun
khul gain kaliyan bahaar aai naya aalam hua
sach to hai ham-saye ki aafat se hoti hai gazand
tir sine par laga dil ka ajab aalam hua
saKHt-jaani se meri tu bhi KHajil hoga zarur
dekh ai qatil teri talwar ka sar KHam hua
baal kyon khole hasinon ne baDhin ruswaiyan
mujh ko to rona hai is ka kyon mera matam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.