dekh to kya kamal rakhti hain
dekh to kyā kamāl rakhtī haiñ
terī āñkheñ savāl rakhtī haiñ
chalī aatī haiñ merī ḳhalvat meñ
yādeñ kitnā ḳhayāl rakhtī haiñ
sāmne jis qadar bhī mushkil ho
sab duā.eñ sañbhāl rakhtī haiñ
ishq meñ haiñ sa.ūbateñ aisī
mujh ko har pal niDhāl rakhtī haiñ
shoḳh chanchal adā.eñ bhī terī
aap apnī misāl rakhtī haiñ
tujh se ye dūriyāñ 'figār' aksar
merā jiinā muhāl rakhtī haiñ
dekh to kya kamal rakhti hain
teri aankhen sawal rakhti hain
chali aati hain meri KHalwat mein
yaaden kitna KHayal rakhti hain
samne jis qadar bhi mushkil ho
sab duaen sanbhaal rakhti hain
ishq mein hain saubaten aisi
mujh ko har pal niDhaal rakhti hain
shoKH chanchal adaen bhi teri
aap apni misal rakhti hain
tujh se ye duriyan 'figar' aksar
mera jina muhaal rakhti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.