dekh tu kis qadar bhala dukh hai
dekh tū kis qadar bhalā dukh hai
shaam hote hī aa gayā dukh hai
dil kī dīvār par Tañgī āñkheñ
dil kī dahlīz par jamā dukh hai
thak ke baiThī huuñ ek kone meñ
aur kamre meñ ghūmtā dukh hai
mujh se pūchho nā ḳhairiyat kā sabab
mere har dard kī davā dukh hai
zindagī to haqīqī ma.anoñ meñ
ḳhaak se ḳhaak par likhā dukh hai
yā mire dushmanoñ kā dukh hai mujhe
yā mirī āstīn kā dukh hai
haath kānoñ pe rakh liye maiñ ne
kis qadar chup meñ chīḳhtā dukh hai
mere hañsne pe phir 'muqaddas' jī
aa ki mujh par baras paḌā dukh hai
dekh tu kis qadar bhala dukh hai
sham hote hi aa gaya dukh hai
dil ki diwar par Tangi aankhen
dil ki dahliz par jama dukh hai
thak ke baiThi hun ek kone mein
aur kamre mein ghumta dukh hai
mujh se puchho na KHairiyat ka sabab
mere har dard ki dawa dukh hai
zindagi to haqiqi manon mein
KHak se KHak par likha dukh hai
ya mere dushmanon ka dukh hai mujhe
ya meri aastin ka dukh hai
hath kanon pe rakh liye main ne
kis qadar chup mein chiKHta dukh hai
mere hansne pe phir 'muqaddas' ji
aa ki mujh par baras paDa dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.