dekh yun ruTh kar nahin jate
dekh yuuñ ruuTh kar nahīñ jaate
baaġh se be-samar nahīñ jaate
baat ko kar rahe haiñ ḳhatm yahīñ
terī auqāt par nahīñ jaate
ya.anī ki log ab judā ho kar
zinda rahte haiñ mar nahīñ jaate
apnī āvārgī meñ rahte haiñ
tere ushshāq ghar nahīñ jaate
kuuch kar jaa.eñ gar parinde to
un ke pīchhe shajar nahīñ jaate
tere kūche kī samt paañv uThe
jab bhī sochā udhar nahīñ jaate
dekh yun ruTh kar nahin jate
bagh se be-samar nahin jate
baat ko kar rahe hain KHatm yahin
teri auqat par nahin jate
yani ki log ab juda ho kar
zinda rahte hain mar nahin jate
apni aawargi mein rahte hain
tere ushshaq ghar nahin jate
kuch kar jaen gar parinde to
un ke pichhe shajar nahin jate
tere kuche ki samt panw uThe
jab bhi socha udhar nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.