dekha idhar kisi ne udhar maine aah ki
dekhā idhar kisī ne udhar maiñ ne aah kī
taḌpā rahī hai qalb ko bijlī nigāh kī
ban aa.e phir to hashr meñ har uzr-ḳhvāh kī
do apne haath se jo sazā tum gunāh kī
ab maiñ yūñhī lahad meñ bhī badlūñgā karvaTeñ
merā to dam nikaltā thā kyoñ tum ne aah kī
samjhe na bachpane se ki kis par paḌegā tiir
ā.īna dekhne meñ bhī tirchhī nigāh kī
ik aur bhī rafīq mirā chhūTne ko hai
hāthoñ se dil pakaḌ liyā jab maiñ ne aah kī
vo aur ruḳh pe zulf ko bikhrā.e aa.e haiñ
taqdīr dekhiye mire roz-e-siyāh kī
maiñ mar gayā thā ḳhanda-e-zaḳhm-e-jigar se bhī
zālim hañsī meñ jaan ga.ī be-gunāh kī
kuchh aap kā gila thā na shikva adū kā thā
sharmā ke kyoñ huzūr ne nīchī nigāh kī
āñkhoñ hī meñ rahegā ye 'safdar' kā ḳhuun hai
tum aa.ine meñ dekho to surḳhī nigāh kī
dekha idhar kisi ne udhar main ne aah ki
taDpa rahi hai qalb ko bijli nigah ki
ban aae phir to hashr mein har uzr-KHwah ki
do apne hath se jo saza tum gunah ki
ab main yunhi lahad mein bhi badlunga karwaTen
mera to dam nikalta tha kyon tum ne aah ki
samjhe na bachpane se ki kis par paDega tir
aaina dekhne mein bhi tirchhi nigah ki
ek aur bhi rafiq mera chhuTne ko hai
hathon se dil pakaD liya jab main ne aah ki
wo aur ruKH pe zulf ko bikhrae aae hain
taqdir dekhiye mere roz-e-siyah ki
main mar gaya tha KHanda-e-zaKHm-e-jigar se bhi
zalim hansi mein jaan gai be-gunah ki
kuchh aap ka gila tha na shikwa adu ka tha
sharma ke kyon huzur ne nichi nigah ki
aankhon hi mein rahega ye 'safdar' ka KHun hai
tum aaine mein dekho to surKHi nigah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.