dekha jo ek shaKHs ajab aan-ban ka
dekhā jo ek shaḳhs 'ajab ān-bān kā
ik silsila sā rahtā hai har-vaqt dhyān kā
be-soche-samjhe ghar se jo yūñhī nikal paḌe
ab DhūñDte haiñ saaya kisī sā.ebān kā
koī nahīñ hai aisā ki apnā kaheñ jise
kaisā tilism TuuTā hai apne gumān kā
bastī meñ haiñ pa aise ki sab se judā haiñ ham
achchhā thā ḳhabt ham ko bhī ūñche makān kā
mauj-e-nafas ke saath rahe rishta-e-umīd
dhaḌkā sā varna rahtā hai har-vaqt jaan kā
zālim ḳhudā se Dar kahīñ bijlī na gir paḌe
mushkil bahut hai girnā agar āsmān kā
jis ghar meñ hañste khelte guzrī hai ek 'umr
rishta bhī ab to yaad nahīñ us makān kā
nākāmiyoñ ko ham ne muqaddar banā liyā
ab Dar nahīñ rahā hai kisī imtihān kā
'nādir' vo kab balāoñ ko ḳhātir meñ laate haiñ
rakhte haiñ jo bhī hausla ūñchī uḌaan kā
dekha jo ek shaKHs 'ajab aan-ban ka
ek silsila sa rahta hai har-waqt dhyan ka
be-soche-samjhe ghar se jo yunhi nikal paDe
ab DhunDte hain saya kisi saeban ka
koi nahin hai aisa ki apna kahen jise
kaisa tilism TuTa hai apne guman ka
basti mein hain pa aise ki sab se juda hain hum
achchha tha KHabt hum ko bhi unche makan ka
mauj-e-nafas ke sath rahe rishta-e-umid
dhaDka sa warna rahta hai har-waqt jaan ka
zalim KHuda se Dar kahin bijli na gir paDe
mushkil bahut hai girna agar aasman ka
jis ghar mein hanste khelte guzri hai ek 'umr
rishta bhi ab to yaad nahin us makan ka
nakaamiyon ko hum ne muqaddar bana liya
ab Dar nahin raha hai kisi imtihan ka
'nadir' wo kab balaon ko KHatir mein late hain
rakhte hain jo bhi hausla unchi uDan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.