dekha jo kuchh is se ziyaada aur bhi hai
dekhā jo kuchh is se ziyāda aur bhī hai
āñkhoñ se manzar kā va.ada aur bhī hai
ishq meñ luTne-piTne kā ġham kuchh bhī nahīñ
is raste meñ dil kā irāda aur bhī hai
sūrat se ma.asūm to hai hī lekin vo
baat kā sachchā dil kā saada aur bhī hai
apnā azm sameTo mere ham-safaro
rasta pahle se uftāda aur bhī hai
dekha jo kuchh is se ziyaada aur bhi hai
aankhon se manzar ka wada aur bhi hai
ishq mein luTne-piTne ka gham kuchh bhi nahin
is raste mein dil ka irada aur bhi hai
surat se masum to hai hi lekin wo
baat ka sachcha dil ka sada aur bhi hai
apna azm sameTo mere ham-safaro
rasta pahle se uftada aur bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.