dekha karo na tum nigah-e-sehr-fan ke sath
dekha karo na tum nigah-e-sehr-fan ke sath
Sher Singh Naaz Dehlvi
MORE BYSher Singh Naaz Dehlvi
dekhā karo na tum nigah-e-sehr-fan ke saath
achchhī nahīñ ye chheḌ dil-e-pur-mehan ke saath
thī dushmanī jo ḳhaak ko mujh ḳhasta-tan ke saath
dil kā ġhubār us ne nikālā kafan ke saath
baiThā huā huuñ bazm meñ ik sīm-tan ke saath
saaqī lagā de sāġhar-e-zarrīñ dahan ke saath
muddat ke baa'd aa.ī hai shām-e-shab-e-visāl
kyā din phire haiñ gardish-e-charḳh-e-kuhan ke saath
duniyā se nā-murād chalā hai shahīd-e-'ishq
lipTe hue haiñ hasrat-o-armāñ kafan ke saath
Thahregā kyā ye tiir havā.ī ke sāmne
āh-e-rasā ko laag hai charḳh-e-kuhan ke saath
kah do savāl-e-vasl pe tum phir nahīñ nahīñ
bal Daal kar jabīñ pe usī bāñkpan ke saath
ab tak hai bū-e-gul se mo'attar mirā dimāġh
soyā thā ek raat kisī gul-badan ke saath
rahtā hai mujh ko taaza balāoñ kā sāmnā
rahtā huuñ jab se zulf-e-shikan-dar-shikan ke saath
haiñ saath saath hasrat-o-armāñ ke qāfile
sū-e-adam chalā huuñ maiñ ik anjuman ke saath
kaT jā.egī ye umr-e-do-roza jahān meñ
lutf-o-ḳhushī ke saath ki ranj-o-mehan ke saath
vo ban ke ashk-e-ḳhūñ mirī āñkhoñ se bah gayā
phūTā jo koī aabla dil kī jalan ke saath
ye 'nāz' aarzū hai ki ho hind ko 'urūj
dekheñ ham is ko phir usī ahd-e-kuhan ke saath
dekha karo na tum nigah-e-sehr-fan ke sath
achchhi nahin ye chheD dil-e-pur-mehan ke sath
thi dushmani jo KHak ko mujh KHasta-tan ke sath
dil ka ghubar us ne nikala kafan ke sath
baiTha hua hun bazm mein ek sim-tan ke sath
saqi laga de saghar-e-zarrin dahan ke sath
muddat ke ba'd aai hai sham-e-shab-e-visal
kya din phire hain gardish-e-charKH-e-kuhan ke sath
duniya se na-murad chala hai shahid-e-'ishq
lipTe hue hain hasrat-o-arman kafan ke sath
Thahrega kya ye tir hawai ke samne
aah-e-rasa ko lag hai charKH-e-kuhan ke sath
kah do sawal-e-wasl pe tum phir nahin nahin
bal Dal kar jabin pe usi bankpan ke sath
ab tak hai bu-e-gul se mo'attar mera dimagh
soya tha ek raat kisi gul-badan ke sath
rahta hai mujh ko taza balaon ka samna
rahta hun jab se zulf-e-shikan-dar-shikan ke sath
hain sath sath hasrat-o-arman ke qafile
su-e-adam chala hun main ek anjuman ke sath
kaT jaegi ye umr-e-do-roza jahan mein
lutf-o-KHushi ke sath ki ranj-o-mehan ke sath
wo ban ke ashk-e-KHun meri aankhon se bah gaya
phuTa jo koi aabla dil ki jalan ke sath
ye 'naz' aarzu hai ki ho hind ko 'uruj
dekhen hum is ko phir usi ahd-e-kuhan ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.