dekha ki chale jate the sab shauq ke mare
dekhā ki chale jaate the sab shauq ke maare
ma.ashūq ke pahlū meñ shab-e-hijr guzāre
ham haiñ ki hue halqa-e-zanjīr-e-mohabbat
baaqī to ga.e chhūT giraftār tumhāre
ham chāhne vāloñ kā nahīñ koī Thikānā
haiñ aaj sar-e-najd to kal taḳht hazāre
aa pahuñche kahāñ justujū-e-yār meñ is baar
mil jaa.e to chal bhī na sake saath hamāre
sākin ho yahāñ koī to us se koī pūchhe
maiñ ghuum rahā huuñ ki haiñ gardish meñ sitāre
bas dekh chuke ḳhuub vo pastī ye bulandī
is charḳh se ab jald hameñ koī utāre
dekha ki chale jate the sab shauq ke mare
mashuq ke pahlu mein shab-e-hijr guzare
hum hain ki hue halqa-e-zanjir-e-mohabbat
baqi to gae chhuT giraftar tumhaare
hum chahne walon ka nahin koi Thikana
hain aaj sar-e-najd to kal taKHt hazare
aa pahunche kahan justuju-e-yar mein is bar
mil jae to chal bhi na sake sath hamare
sakin ho yahan koi to us se koi puchhe
main ghum raha hun ki hain gardish mein sitare
bas dekh chuke KHub wo pasti ye bulandi
is charKH se ab jald hamein koi utare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.