dekha kisi ka humne na aisa suna dimagh
dekha kisi ka humne na aisa suna dimagh
Sardar Genda Singh Mashriqi
MORE BYSardar Genda Singh Mashriqi
dekhā kisī kā ham ne na aisā sunā dimāġh
in sang-dil butoñ kā hai allāh kyā dimāġh
kartā nahīñ tamīz sharīf-o-razīl meñ
is charḳh-e-pīr kā hai magar phir gayā dimāġh
dekhe bahut haiñ ham ne hasīnān-e-pur-ġhurūr
lekin 'ajab tarah kā hai kuchh aap kā dimāġh
kal jitnā ham ne us ko manā ke banāyā thā
utnā hī aaj aur hai bigḌā huā dimāġh
jab hoñge pesh dāvar-e-mahshar ke sāmne
ham dekh leñge aap kā roz-e-jazā dimāġh
aayā nahīñ samajh meñ ye ulTā mu'āmla
ban ban ke kyuuñ bigaḌtā hai ye aap kā dimāġh
gul kī bahār gulsitāñ meñ chand roz hai
achchhā nahīñ hai is qadar ai mah-laqā dimāġh
ai 'mashriqī' kabhī thā dimāġh apnā arsh par
hai āj-kal to ḳhaak meñ apnā milā dimāġh
dekha kisi ka hum ne na aisa suna dimagh
in sang-dil buton ka hai allah kya dimagh
karta nahin tamiz sharif-o-razil mein
is charKH-e-pir ka hai magar phir gaya dimagh
dekhe bahut hain hum ne hasinan-e-pur-ghurur
lekin 'ajab tarah ka hai kuchh aap ka dimagh
kal jitna hum ne us ko mana ke banaya tha
utna hi aaj aur hai bigDa hua dimagh
jab honge pesh dawar-e-mahshar ke samne
hum dekh lenge aap ka roz-e-jaza dimagh
aaya nahin samajh mein ye ulTa mu'amla
ban ban ke kyun bigaDta hai ye aap ka dimagh
gul ki bahaar gulsitan mein chand roz hai
achchha nahin hai is qadar ai mah-laqa dimagh
ai 'mashriqi' kabhi tha dimagh apna arsh par
hai aaj-kal to KHak mein apna mila dimagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.