dekha kisi ne humse zamane ne kya kiya
dekha kisi ne humse zamane ne kya kiya
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
dekhā kisī ne ham se zamāne ne kyā kiyā
aur kyā kaheñ ki yaar yagāne ne kyā kiyā
dil chāhtā huuñ aur ko duuñ tere jaur se
kahnā na phir ki ham se fulāne ne kyā kiyā
qātil to us kā har sar-e-mū bāl-pan se thā
ārā.ish us kī zulf ko shāne ne kyā kiyā
dīnār aur diram kī na lā dil ko daam meñ
qārūñ se hai ḳhabar ki ḳhazāne ne kyā kiyā
'hātim' diyā hai shaiḳh ne ab dil sanam ke haath
dīvāna maiñ to thā ye siyāne ne kyā kiyā
dekha kisi ne hum se zamane ne kya kiya
aur kya kahen ki yar yagane ne kya kiya
dil chahta hun aur ko dun tere jaur se
kahna na phir ki hum se fulane ne kya kiya
qatil to us ka har sar-e-mu baal-pan se tha
aaraish us ki zulf ko shane ne kya kiya
dinar aur diram ki na la dil ko dam mein
qarun se hai KHabar ki KHazane ne kya kiya
'hatim' diya hai shaiKH ne ab dil sanam ke hath
diwana main to tha ye siyane ne kya kiya
- Book : Diwan Zadah (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.