dekha na humne rashk se aghyar ki taraf
dekhā na ham ne rashk se aġhyār kī taraf
muñh pher baiThe bazm meñ dīvār kī taraf
sail-e-sarishk apne hī ghar meñ bahā.enge
kyoñ jaa.e ye balā tirī dīvār kī taraf
baiThe biThā.e aa.e jo shāmat to kyā ilaaj
dil ne kahā ki aao chaleñ yaar kī taraf
chāhī thī daad ham ne dil-e-sāf kī magar
ā.īna ho gayā tire ruḳhsār kī taraf
tasvīr ko bhī us kī yahāñ tak ġhurūr hai
dekhe kabhī na tālib-e-dīdār kī taraf
taqsīr mai-farosh kī ai mohtasib nahīñ
ye chiiz uḌ ke jaatī hai mai-ḳhvār kī taraf
dī jaan kis ḳhushī se tah-e-teġh 'dāġh' ne
lab par tabassum aur nazar yaar kī taraf
dekha na hum ne rashk se aghyar ki taraf
munh pher baiThe bazm mein diwar ki taraf
sail-e-sarishk apne hi ghar mein bahaenge
kyon jae ye bala teri diwar ki taraf
baiThe biThae aae jo shamat to kya ilaj
dil ne kaha ki aao chalen yar ki taraf
chahi thi dad hum ne dil-e-saf ki magar
aaina ho gaya tere ruKHsar ki taraf
taswir ko bhi us ki yahan tak ghurur hai
dekhe kabhi na talib-e-didar ki taraf
taqsir mai-farosh ki ai mohtasib nahin
ye chiz uD ke jati hai mai-KHwar ki taraf
di jaan kis KHushi se tah-e-tegh 'dagh' ne
lab par tabassum aur nazar yar ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.