dekha na karo KHwab ki ab jagna hoga
dekhā na karo ḳhvāb ki ab jāgnā hogā
ḳhud apnī tabāhī kā sabab sochnā hogā
pardoñ se bahalte hue rahnā nahīñ achchhā
parde se udhar bhī hai koī jhāñknā hogā
thak-hār ke har moḌ pe ḳheme na lagāo
asbāb-e-ḳham-e-rāh-guzar DhūñDnā hogā
ham apne diyoñ ko kabhī bujhne nahīñ deñge
dīvānī havāoñ ko hameñ roknā hogā
patthar to haiñ patthar vo kabhī mom na hoñge
shīshe kā muqaddar hai ise TūTnā hogā
ḳhāmoshī hai achchhī magar itnī nahīñ 'iqbāl'
sannāTe nigal leñge tumheñ bolnā hogā
dekha na karo KHwab ki ab jagna hoga
KHud apni tabahi ka sabab sochna hoga
pardon se bahalte hue rahna nahin achchha
parde se udhar bhi hai koi jhankna hoga
thak-haar ke har moD pe KHeme na lagao
asbab-e-KHam-e-rah-guzar DhunDna hoga
hum apne diyon ko kabhi bujhne nahin denge
diwani hawaon ko hamein rokna hoga
patthar to hain patthar wo kabhi mom na honge
shishe ka muqaddar hai ise TuTna hoga
KHamoshi hai achchhi magar itni nahin 'iqbaal'
sannaTe nigal lenge tumhein bolna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.