dekha nahin wo aadmi tanha kahun jise
dekhā nahīñ vo aadmī tanhā kahūñ jise
vo aaj tak milā nahīñ apnā kahūñ jise
sadiyoñ se intizār hai us ek shaḳhs kā
aa.e ho kitnī der se itnā kahūñ jise
nazreñ taras ke rah ga.iiñ tā-aks-e-ābshār
dekhā nahīñ hai paanī kā qatra kahūñ jise
kaun-o-makāñ meñ maujzan hai terī āgahī
ik lamha bhī milā nahīñ terā kahūñ jise
dariyā huuñ mauj ban ke ravāñ huuñ tirī taraf
us paar koī ghar bhī hai apnā kahūñ jise
afsūn-e-intizār tamannā kā naam hai
husn-e-talab meñ aarzū goyā kahūñ jise
dekha nahin wo aadmi tanha kahun jise
wo aaj tak mila nahin apna kahun jise
sadiyon se intizar hai us ek shaKHs ka
aae ho kitni der se itna kahun jise
nazren taras ke rah gain ta-aks-e-abshaar
dekha nahin hai pani ka qatra kahun jise
kaun-o-makan mein maujzan hai teri aagahi
ek lamha bhi mila nahin tera kahun jise
dariya hun mauj ban ke rawan hun teri taraf
us par koi ghar bhi hai apna kahun jise
afsun-e-intizar tamanna ka nam hai
husn-e-talab mein aarzu goya kahun jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.