dekhe-bhaale raste the
dekhe-bhāle raste the
phir bhī log bhaTakte the
dariyā sahrā aur sarāb
manzar saare phīke the
ik sanjog kā qissa thā
kitne bandhan TuuTe the
dil to us kā ujlā thā
lekin kapḌe maile the
nazreñ dhundlī dhundlī thiiñ
chehre nīle-pīle the
galiyāñ kūche sab jal-thal
TuuT ke bādal barse the
kitne chāñd-gahan meñ the
kitne taare TuuTe the
vaqt ke bahte dariyā meñ
kitne sūraj Duube the
saarā jism dahak uTThā
sho.ale to phir sho.ale the
dekhe-bhaale raste the
phir bhi log bhaTakte the
dariya sahra aur sarab
manzar sare phike the
ek sanjog ka qissa tha
kitne bandhan TuTe the
dil to us ka ujla tha
lekin kapDe maile the
nazren dhundli dhundli thin
chehre nile-pile the
galiyan kuche sab jal-thal
TuT ke baadal barse the
kitne chand-gahan mein the
kitne tare TuTe the
waqt ke bahte dariya mein
kitne suraj Dube the
sara jism dahak uTTha
shoale to phir shoale the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.