dekhe hue kisi ko bahut din guzar gae
dekhe hue kisī ko bahut din guzar ga.e
is dil kī bebasī ko bahut din guzar ga.e
har shab chhatoñ pe chāñd utartā to hai magar
is ghar meñ chāñdnī ko bahut din guzar ga.e
koī javāz DhūñD ġham-e-nā-shanās kā
be-vaj.h bekalī ko bahut din guzar ga.e
ab tak akele-pan kā musalsal azaab hai
duniyā se dostī ko bahut din guzar ga.e
terī rifāqateñ to muqaddar meñ hī na thiiñ
ab apnī hī kamī ko bahut din guzar ga.e
muddat huī hai TuuT ke royā nahīñ huuñ maiñ
is chain kī ghaḌī ko bahut din guzar ga.e
vo jāgtī havelī bhī vīrān ho ga.ī
us nuqra.ī hañsī ko bahut din guzar ga.e
vo qahqahe bhī vaqt ke sahrā meñ kho ga.e
galiyoñ kī ḳhāmushī ko bahut din guzar ga.e
muddat huī ki raat kā vo jāgnā gayā
is ranj-e-āshiqī ko bahut din guzar ga.e
jo e.atibār-e-zaḳhm hunar ne atā kiyā
'dānish' vo shā.erī ko bahut din guzar ga.e
dekhe hue kisi ko bahut din guzar gae
is dil ki bebasi ko bahut din guzar gae
har shab chhaton pe chand utarta to hai magar
is ghar mein chandni ko bahut din guzar gae
koi jawaz DhunD gham-e-na-shanas ka
be-wajh bekali ko bahut din guzar gae
ab tak akele-pan ka musalsal azab hai
duniya se dosti ko bahut din guzar gae
teri rifaqaten to muqaddar mein hi na thin
ab apni hi kami ko bahut din guzar gae
muddat hui hai TuT ke roya nahin hun main
is chain ki ghaDi ko bahut din guzar gae
wo jagti haweli bhi viran ho gai
us nuqrai hansi ko bahut din guzar gae
wo qahqahe bhi waqt ke sahra mein kho gae
galiyon ki KHamushi ko bahut din guzar gae
muddat hui ki raat ka wo jagna gaya
is ranj-e-ashiqi ko bahut din guzar gae
jo eatibar-e-zaKHm hunar ne ata kiya
'danish' wo shaeri ko bahut din guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.