dekhen ab kya dil-jalon se bol bole jaenge
dekheñ ab kyā dil-jaloñ se bol bole jā.eñge
laag hī se phuuT kyā dil ke phaphole jā.eñge
hai yahāñ paimāna māl-o-naqd hī lekin vahāñ
zarf kī mīzān par hī log tole jā.eñge
mash.al-e-māzī dikhā saktī hai mustaqbil kī raah
hai ye kunjī jis se saare qufl khole jā.eñge
yaad rakhne ke liye lamhe guzishta vaqt ke
ab kitāb-e-māzī ke panne TaTole jā.eñge
tauba tauba kis qadar muñh se Tapaktī hai shakar
is zabāñ se mīThe mīThe zahr ghole jā.eñge
ruuh kī bosīdgī ko dafn karne ke liye
dekhiyegā badle kis kis tan ke chole jā.eñge
hai sarāhā ḳhuub ye paivand-kārī kā hunar
rishta-dar-rishta sabhī ab pech khole jā.eñge
peñg baḌhtī jaa.e amrā.ī meñ jyuuñ jyuuñ din chaḌhe
shaam hote tak utāre sab hiñDole jā.eñge
lījiye dīvān-e-'nāqid' aap hī ke naam hai
ham kahāñ in be-tuke ash.ār ko le jā.eñge
dekhen ab kya dil-jalon se bol bole jaenge
lag hi se phuT kya dil ke phaphole jaenge
hai yahan paimana mal-o-naqd hi lekin wahan
zarf ki mizan par hi log tole jaenge
mashal-e-mazi dikha sakti hai mustaqbil ki rah
hai ye kunji jis se sare qufl khole jaenge
yaad rakhne ke liye lamhe guzishta waqt ke
ab kitab-e-mazi ke panne TaTole jaenge
tauba tauba kis qadar munh se Tapakti hai shakar
is zaban se miThe miThe zahr ghole jaenge
ruh ki bosidgi ko dafn karne ke liye
dekhiyega badle kis kis tan ke chole jaenge
hai saraha KHub ye paiwand-kari ka hunar
rishta-dar-rishta sabhi ab pech khole jaenge
peng baDhti jae amrai mein jyun jyun din chaDhe
sham hote tak utare sab hinDole jaenge
lijiye diwan-e-'naqid' aap hi ke nam hai
hum kahan in be-tuke ashaar ko le jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.