dekhi bahaar humne kal zor mai-kade mein
dekhī bahār ham ne kal zor mai-kade meñ
hañsne siiñ us sajan ke thā shor mai-kade meñ
the josh-e-mul siiñ aisī shorish meñ daaġh dil ke
goyā ki kūdte haiñ ye mor mai-kade meñ
phandā rakhā thā maiñ ne shāyad ki vo parī-rū
dekhe to paas mere ho daur mai-kade meñ
hai aarzū ki hamdam vo māh-rū ho merā
de shaam siiñ jo pyāla ho bhor mai-kade meñ
saaqī vahī hai merā 'nājī' ki gar marūñ maiñ
mujh vāste banā de jā gor mai-kade meñ
dekhi bahaar hum ne kal zor mai-kade mein
hansne sin us sajan ke tha shor mai-kade mein
the josh-e-mul sin aisi shorish mein dagh dil ke
goya ki kudte hain ye mor mai-kade mein
phanda rakha tha main ne shayad ki wo pari-ru
dekhe to pas mere ho daur mai-kade mein
hai aarzu ki hamdam wo mah-ru ho mera
de sham sin jo pyala ho bhor mai-kade mein
saqi wahi hai mera 'naji' ki gar marun main
mujh waste bana de ja gor mai-kade mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.