dekhi hain maine shahr mein aisi bhi bastiyan
dekhī haiñ maiñ ne shahr meñ aisī bhī bastiyāñ
bevā.eñ bechtī haiñ suhāgan ko chūḌiyāñ
jab se sazā maiñ kaaT ke aayā huuñ jail se
pahne baġhair so nahīñ paatā maiñ beḌiyāñ
bhejī thī aap ne jo ghaḌī mil ga.ī mujhe
kuchh vaqt chāhtī haiñ pitā se bhī beTiyāñ
bāliġh hue to ho gayā ūñchā ye āsmāñ
chūmeñge kaise chāñd ko uchkā ke eḌiyāñ
kuchh bhiik meñ janāb taraqqī nahīñ milī
sāgar tujhe nichoḌ ke laayā huuñ sīpiyāñ
naqsha-navīs kaun hai is bārgāh kā
dīvār mom kī banī kāġhaz kī khiḌkiyāñ
kitnī 'adīb' duur hai manzil pata nahīñ
sahrā kī garm ret hai kāġhaz kī jūtiyāñ
dekhi hain main ne shahr mein aisi bhi bastiyan
bewaen bechti hain suhagan ko chuDiyan
jab se saza main kaT ke aaya hun jail se
pahne baghair so nahin pata main beDiyan
bheji thi aap ne jo ghaDi mil gai mujhe
kuchh waqt chahti hain pita se bhi beTiyan
baaligh hue to ho gaya uncha ye aasman
chumenge kaise chand ko uchka ke eDiyan
kuchh bhik mein janab taraqqi nahin mili
sagar tujhe nichoD ke laya hun sipiyan
naqsha-nawis kaun hai is bargah ka
diwar mom ki bani kaghaz ki khiDkiyan
kitni 'adib' dur hai manzil pata nahin
sahra ki garm ret hai kaghaz ki jutiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.