dekhiye andaz uski shoKHi-e-tahrir ka
dekhiye andaz uski shoKHi-e-tahrir ka
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
dekhiye andāz us kī shoḳhi-e-tahrīr kā
pairahan hī ḳhaak hai har paikar-e-tasvīr kā
zarb se us kī laraztā hai dil-e-sang-e-jabal
tesha-e-azm-o-yaqīñ zāmin hai jū-e-shīr kā
ai adū tū kāmrānī par abhī shādāñ na ho
sīna-e-shamshīr meñ baaqī hai dam shamshīr kā
shahr kā manzar vabāl-e-jāñ hai mere vāste
ban gayā vaj.h-e-sukūñ halqa mirī zanjīr kā
sar-phirī āñdhī kī zad par jab bhī kartā huuñ safar
ruḳh badal detā hai merā azm ḳhud taqdīr kā
dekhiye andaz us ki shoKHi-e-tahrir ka
pairahan hi KHak hai har paikar-e-taswir ka
zarb se us ki larazta hai dil-e-sang-e-jabal
tesha-e-azm-o-yaqin zamin hai ju-e-shir ka
ai adu tu kaamrani par abhi shadan na ho
sina-e-shamshir mein baqi hai dam shamshir ka
shahr ka manzar wabaal-e-jaan hai mere waste
ban gaya wajh-e-sukun halqa meri zanjir ka
sar-phiri aandhi ki zad par jab bhi karta hun safar
ruKH badal deta hai mera azm KHud taqdir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.