dekhiye kis ko ras aate hain
dekhiye kis ko raas aate haiñ
achchhe din sab ke paas aate haiñ
ek bhī kaam kā nahīñ hotā
phone din meñ pachās aate haiñ
kal to va.ada bhare gilās kā thā
aaj ḳhālī gilās aate haiñ
tum ko badlāv chāhiye Thahro
ham badal kar libās aate haiñ
pahle bantī hai siitā aprādhī
ba.ad meñ tulsīdās aate haiñ
saarī duniyā se mil-milā kar ham
āḳhirash apne paas aate haiñ
shaam hotī hai tab kahīñ jā kar
vāpas apne havās aate haiñ
jaane kyā ho gayā hai 'nāzim' ko
har jagah vo udaas aate haiñ
dekhiye kis ko ras aate hain
achchhe din sab ke pas aate hain
ek bhi kaam ka nahin hota
phone din mein pachas aate hain
kal to wada bhare gilas ka tha
aaj KHali gilas aate hain
tum ko badlaw chahiye Thahro
hum badal kar libas aate hain
pahle banti hai sita apradhi
baad mein tulsidas aate hain
sari duniya se mil-mila kar hum
aaKHirash apne pas aate hain
sham hoti hai tab kahin ja kar
wapas apne hawas aate hain
jaane kya ho gaya hai 'nazim' ko
har jagah wo udas aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.