dekhiye kya kya sitam mausam ki man-mani ke hain
dekhiye kya kya sitam mausam ki man-mani ke hain
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
dekhiye kyā kyā sitam mausam kī man-mānī ke haiñ
kaise kaise ḳhushk ḳhitte muntazir paanī ke haiñ
kyā tamāshā hai ki ham se ik qadam uThtā nahīñ
aur jitne marhale baaqī haiñ āsānī ke haiñ
vo bahut saffāk sī dhūmeñ machā kar chal diyā
aur ab jhagḌe yahāñ us shaḳhs-e-tūfānī ke haiñ
ik adam-tāsīr lahja hai mirī har baat kā
aur jaane kitne pahlū merī vīrānī ke haiñ
us kī aadat hai ghire rahnā dhueñ ke jaal meñ
us ke saare rog ik andhī pareshānī ke haiñ
dekhiye kya kya sitam mausam ki man-mani ke hain
kaise kaise KHushk KHitte muntazir pani ke hain
kya tamasha hai ki hum se ek qadam uThta nahin
aur jitne marhale baqi hain aasani ke hain
wo bahut saffak si dhumen macha kar chal diya
aur ab jhagDe yahan us shaKHs-e-tufani ke hain
ek adam-tasir lahja hai meri har baat ka
aur jaane kitne pahlu meri virani ke hain
us ki aadat hai ghire rahna dhuen ke jal mein
us ke sare rog ek andhi pareshani ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.