dekhiye kya se kya ho gaya
dekhiye kyā se kyā ho gayā
ab to vo pārsā ho gayā
baat kā thā na jis ko shu.ūr
aaj vo rahnumā ho gayā
luT gayā raah chalte hue
kyā thā sāthī judā ho gayā
sar uThā kar bhī dekhā nahīñ
itnā sharminda sā ho gayā
kuchh salīqa nahīñ baat kā
ruuTh kar vo ḳhafā ho gayā
baat bantī bigaḌtī rahī
bāb-e-dil jab na vā ho gayā
aate jaate bhī miltā nahīñ
itnā kyoñ bevafā ho gayā
kaash ab bhī vo kuchh soch le
vo jo ahl-e-jafā ho gayā
'faiz' kaise kaTe zindagī
jab ki jiinā gila ho gayā
dekhiye kya se kya ho gaya
ab to wo parsa ho gaya
baat ka tha na jis ko shuur
aaj wo rahnuma ho gaya
luT gaya rah chalte hue
kya tha sathi juda ho gaya
sar uTha kar bhi dekha nahin
itna sharminda sa ho gaya
kuchh saliqa nahin baat ka
ruTh kar wo KHafa ho gaya
baat banti bigaDti rahi
bab-e-dil jab na wa ho gaya
aate jate bhi milta nahin
itna kyon bewafa ho gaya
kash ab bhi wo kuchh soch le
wo jo ahl-e-jafa ho gaya
'faiz' kaise kaTe zindagi
jab ki jina gila ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.