dekhiye taqdir le jae kidhar
dekhiye taqdīr le jaa.e kidhar
ham-safar koī na koī rāhbar
bāvajūd-e-da.ava-e-fikr-o-nazar
ham rumūz-e-zīst se haiñ be-ḳhabar
zindagī ko ik sahārā chāhiye
mo'atabar ho vo ki ho nā-mo'tabar
nā-tavān-o-sust-rau bhī haiñ yahāñ
gardish-e-daurāñ zarā āhista-tar
zindagī ke ham pe haiñ ehsāñ bahut
ham se pūchho zindagī kā dard-e-sar
kab tujhe zebā hai ai shāhīñ-nazhād
ye qafas kā ġham ye rañj -bāl-o-par
bujh gayā dil to mayassar ab kahāñ
vo hasīñ din raat vo shām-o-sahar
tū ne un kā zikr phir chheḌā nadīm
jhuum uTThe dekh vo dīvār-o-dar
aap ko shab-zinda-dārī kī qasam
hazrat-e-'tālib' kahāñ the raat bhar
dekhiye taqdir le jae kidhar
ham-safar koi na koi rahbar
bawajud-e-dawa-e-fikr-o-nazar
hum rumuz-e-zist se hain be-KHabar
zindagi ko ek sahaara chahiye
mo'atabar ho wo ki ho na-mo'tabar
na-tawan-o-sust-rau bhi hain yahan
gardish-e-dauran zara aahista-tar
zindagi ke hum pe hain ehsan bahut
hum se puchho zindagi ka dard-e-sar
kab tujhe zeba hai ai shahin-nazhad
ye qafas ka gham ye ranj -baal-o-par
bujh gaya dil to mayassar ab kahan
wo hasin din raat wo sham-o-sahar
tu ne un ka zikr phir chheDa nadim
jhum uTThe dekh wo diwar-o-dar
aap ko shab-zinda-dari ki qasam
hazrat-e-'talib' kahan the raat bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.