dekhiye unki yaad aati hai
dekhiye un kī yaad aatī hai
phir nayā gul koī khilātī hai
phir utartā hai chāñd āñgan meñ
chāñdnī phir se jhilmilātī hai
phir se dīvāngī hai sar pe savār
phir se āvāz koī aatī hai
koī kahtā hai sab ko chhoḌ chalo
duur taqdīr muskurātī hai
haa.e ārā.ish-e-jahān-e-fareb
thapkiyāñ de ke kyoñ sulātī hai
bāñdh lo phir se 'nūr' raḳht-e-safar
maut apnī taraf bulātī hai
dekhiye un ki yaad aati hai
phir naya gul koi khilati hai
phir utarta hai chand aangan mein
chandni phir se jhilmilati hai
phir se diwangi hai sar pe sawar
phir se aawaz koi aati hai
koi kahta hai sab ko chhoD chalo
dur taqdir muskuraati hai
hae aaraish-e-jahan-e-fareb
thapkiyan de ke kyon sulati hai
bandh lo phir se 'nur' raKHt-e-safar
maut apni taraf bulati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.