dekhna bhi to teri baat ka ek Dhang lage
dekhnā bhī to tirī baat kā ik Dhang lage
tū ne dekhā jise ik baar use rang lage
ain mumkin hai qabīle meñ baġhāvat honā
ain mumkin hai tire naam pe ik jang lage
tū na jis rāste pe jaa.e vahāñ dhuul uḌe
tū na jis aa.ine meñ ho so use zang lage
sochte sochte vus.at bhī atā hotī hai
dekhte dekhte nazroñ ko ḳhalā tang lage
ishq vaale use gul-pāshī kahā karte haiñ
husn vāloñ ke mohalle meñ agar sang lage
dekhna bhi to teri baat ka ek Dhang lage
tu ne dekha jise ek bar use rang lage
ain mumkin hai qabile mein baghawat hona
ain mumkin hai tere nam pe ek jang lage
tu na jis raste pe jae wahan dhul uDe
tu na jis aaine mein ho so use zang lage
sochte sochte wusat bhi ata hoti hai
dekhte dekhte nazron ko KHala tang lage
ishq wale use gul-pashi kaha karte hain
husn walon ke mohalle mein agar sang lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.